My Ghazal by: Syed Iftikhar Ahmad Rashk
Mujhe Justuju hai Kahan Hai Hayat
Ye mein Hun wo tu hai, Kahan Hai Hayat
Gham-e-rozgara, gham-e-jaan-e-jaan
Gham-e-Arzoo hai, Kahan Hai Hayat
Na Palkon ke Khanjar Na Nazron Ke Teer
Kiu Nafrat ki Khoo Hai, Kahan Hai Hayat
Suna tha Fasana jo Tatar Ka
Wohi Rubru hai, Kahan Hai Hayat
Ye Bum Ke Dhamake Ye Lashon Ke Dheir
Qaza Ku ba Ku hai, Kahan Hai Hayat
Na Wadon Ka Eefa Na Rashk-e-Amal
Faqat Guftugu hai, Kahan Hai Hayat
Mujhe Justuju hai Kahan Hai Hayat
Ye mein Hun wo tu hai, Kahan Hai Hayat
Gham-e-rozgara, gham-e-jaan-e-jaan
Gham-e-Arzoo hai, Kahan Hai Hayat
Na Palkon ke Khanjar Na Nazron Ke Teer
Kiu Nafrat ki Khoo Hai, Kahan Hai Hayat
Suna tha Fasana jo Tatar Ka
Wohi Rubru hai, Kahan Hai Hayat
Ye Bum Ke Dhamake Ye Lashon Ke Dheir
Qaza Ku ba Ku hai, Kahan Hai Hayat
Na Wadon Ka Eefa Na Rashk-e-Amal
Faqat Guftugu hai, Kahan Hai Hayat
No comments:
Post a Comment